Hindi Shayari Behtar Hai Muflisi Meri Kahin Behtar Hai Teri Ameeri Se Muflisi Meri, Chand Sikkon Ki Khaatir Tune Kya Nahi Khoya Hai, Mana Nahi Hai Makhmal Ka Bichhauna Mere Paas
Hindi Shayari Behtar Hai Muflisi Meri
Kahin Behtar Hai Teri Ameeri Se Muflisi Meri,
Chand Sikkon Ki Khaatir Tune Kya Nahi Khoya Hai,
Mana Nahi Hai Makhmal Ka Bichhauna Mere Paas,
Par Tu Yeh Bataa Kitni Raatein Chain Se Soya Hai.
कहीं बेहतर है तेरी अमीरी से मुफलिसी मेरी,
चंद सिक्कों की खातिर तूने क्या नहीं खोया है,
माना नहीं है मखमल का बिछौना मेरे पास,
पर तू ये बता कितनी रातें चैन से सोया है।
Usko Rukhsat Toh Kiya Tha Mujhe Malum Na Tha,
Sara Ghar Le Jayega Ghar Chhod Ke Jaane Wala,
Ik Musafir Se Safar Jaisi Hai Sab Ki Duniya,
Koi Jaldi Toh Koi Der Se Jaane Wala.
उसको रुखसत तो किया था मुझे मालूम न था,
सारा घर ले गया घर छोड़ के जाने वाला,
इक मुसाफिर के सफर जैसी है सब की दुनिया,
कोई जल्दी में कोई देर से जाने वाला।

Behtar Hai Muflisi Meri
Yaar Toh Ayina Hua Karte Hain Yaaron Ke Liye,
Tera Chehra Toh Abhi Tak Hai Naqaabon Wala,
Mujhse Hogi Nahi Duniya Ye Tizarat Dil Ki,
Main Karoon Kya Mera Jahaan Hai Khwabon Wala.
यार तो आइना हुआ करते हैं यारों के लिए,
तेरा चेहरा तो अभी तक है नकाबों वाला,
मुझसे होगी नहीं दुनिया ये तिजारत दिल की,
मैं करूँ क्या कि मेरा जहान है ख्वाबों वाला।